Imágenes de páginas
PDF
EPUB
[graphic][ocr errors][ocr errors][subsumed]

Ahli haiaton ne is hisáb ko, jaisí tahqíq i̟lm riyází men hotí hai, waisáhí tahqíq kiya hai, aur we thik kah sakte hain ki kab súraj aur chánd ko grahan hogá.

Agar áftáb ke andáze ko ghare barábar samjho, to zamín ká andázah maṭar barábar samajhná ! Zamín áftáb ke muqabale men yihí nisbat rakhtí hai.

Agar áftáb par se top chhorí jáwe, to zamín talak golá uská unnís baras men nahín pahunchegá !

Súraj, aur Chánd, aur Sitáron ke chhote nazar áne ke sabab men.

Súraj, aur chánd, aur sitáre, ki har ek dil men, nihayat bare jahán hain, is qadar chhoțe nazar áte hain; sabab uská yih hai, ki jo chíz jis qadar dúr hoti hai, waisehí chhoți dekh partí hai. Yih hál achchhí tarah samajh men átá hai, ghubáre kí charháí dekhne se. Jab talak ki wuh nazdík hai, tamásháíon ke sir par se charhtá húá hawá par, kitná bahut bará nazar átá hai. Do ádmí uske laṭkan takht men baithe hain, aur unko ásání se ásmán par lejátá hai !

Phir tum nigah karo, jad ásmán men kuchh dúr gaya to kaisa chhota dekh parta hai aur we donon ádmí jhandiyan hiláte hue, kaisí mushkil se nigáh men áte hain! Phir dekho! us bare ghubáre ko, bích níle asmán ke, aur bádal se bahut upar, faqat ek nuqtah kí mánind nazar átá hai !

Ab tum ásání se málum kar sakte ho, ki súraj, aur chánd, aur sitáre, jo haqiqat men nihayat bare hain,

small, because they are at such an inconceivable distance from us that a cannon shot would take years and years to reach them. The wonder is that we see them at all; were they not such enormous worlds they would be lost from our sight. The contemplation of these things leads the mind to worship the great invisible Being who made and now sustains them all, and whom we ought to worship and obey.

MERCURY.

1. THE planet placed by the Almighty nearest to the sun, is named Mercury: you may see him with the telescope, and sometimes with the naked

eye.

2. His distance from the sun is 37 millions of miles.

3. His diameter is 3,200 miles, and he wheels round the sun once in 87 days, 23 hours.

4. He is made to travel at the fearful velocity of 105 thousand miles every hour.

5. Because he is much nearer to the sun than we are, the sun appears to his inhabitants, if they see as we do, seven times as large as to us; and the heat, if Mercury be such a world as ours, is seven times as great there as that which we feel here.

chhote nazar áte hain; uská báis yih hai, ki we ham se niháyat dúr hain, yihán tak, ki golah top ká sálhá sál men bhí un tak na pahunch sake. Tájjub yih hai, kiwe kuchh nazar áte hain. Agar we is qadar bahut bare na hote, to hargiz nazar na áte. Aisí báton ke sochne se, yih dil Ķhudá kí taraf játá hai, jis ne in sab ko banaya hai, aur unhon kí khabardárí karta hai. Chahiye uskí bandagi karná aur uská

hukm mánná.

UTARID KE BAYAN MEN

1. Jo saiyáre ko, Ķhudá ne sab saiyáron se áftáb ke karíbtar rakha hai, wuh Markuri, yane Utárid kahlátá hai us ko dúrbín ke wasile se har shakhs dekh saktá hai, aur kabhí baghair dúrbín ke bhí dekhá játa hai.

2. Yih saiyárah áftáb se tín karor sattar lákh mailz

dúr hai.

3. Us ká qutr tín hazár do sau mailz lambá hai, aur súraj ke áspás sattásí din, taiís ghanțe men ek daure ko tamám karta hai.

4. Us kí tez rawí bahut bhayának hai, yane ek lákh pánch hazár mailz ek ghanțe men tai karta hai !

5. Zamín kí banisbat, Utárid áftáb ke bahut nazdík hai; is waste súraj us ke báshindon ko, sát guná banisbat zamín ke báshindon kí, baṛá nazar áwegá, basharteki, unkí basárat hamárí basárat ke barabar howe:-aur garmí Utárid par, agar wuh makan zamín kí misál howe, sát guní ziyádah howegí.

« AnteriorContinuar »